Bewafai Shayari

Bewafai Shayari

PAGE=21

Uska Bartaav
By : Gagan (Views : 775)

Aaj bade dino ke baad chehre pe hasi ki leher aayi, poocho ge nahi dosto ye kis ke sabab aayi, muddato ke baad dua main ye asar dekha bohot dino ke baad unhe es kadar dekha kiya bartaav aaj ...

 

Dusro Ki Haseen
By : Gagan (Views : 765)

Le kar hum dusro ki hasi kya kare,
jo apni nahi woh kushi kya kare,
tanha jine se behtar hai mar jai hum,
jab saath aapka nahi to zindagi jeekar kya kare

 

Churiyan
By : Gagan (Views : 764)

Ek jaisee lagtee haim CHURIYAN aur LARKIYAN

toot ti hai aur hastee hai CHURIYAN aur LARKIYAN

 

Samajhne Mai Galti!
By : Gagan (Views : 843)

Hum samjhe the jise apna dost,
Woh hi humara dushman nikla,
Har andaaz or har ada..
Dheere dheere yeh beyd khula,
Hum chupke se jis se mohabbat karte rahe,
Woh humara pyaar nahi bewafa nikla,
Khushi ki talash mai nikle the hum,
Par afsos humay gham hi mila...

 

O Bewafa Kitna Pyaar Karta Hoon Tumse
By : Gagan (Views : 953)

aankhein baand kar bhi hum tera deedaar karte hain,
ay sanam hum to sirf tumse pyaar karte hain.

Laakh chaah kar bhi tujhe bhula nahi sakta,
saans rehte teri tasweer aankho se hataa nahi sakta.

Akhiri pal tak oh bewafa tujhe yaad kata hoon,
teri yaadon ko seenay mein basaa kar chalta hoon

Ik Aur Janaza
By : Gagan (Views : 808)

Lardki boli: - larke se tum ne kaha milogi
Har khirki darwaaze peh
Mere har andaaz ke aandaaz ke peche
Bewafa itne nikle
Na ayee mere jaanaze ke peche
Larka bola:- lardki se maine kaha miloga
Har khirki darwaaze ke peche
Tere har aandaaz ke aandaaz ke peche
Bewafa main nahin
Bewafa tu nikli
Mur kar ke na dekha
Ik aur janaza tha tere janaze ke peche

 

Bewafa Sanam Ke Naam
By : Gagan (Views : 883)

Yeh husn yeh aada yeh nazakat yeh aankhen,
Sab khubiya hai magar bewafa hai tu ,

Pechle baras tha khuff tujhe kho na do ,
Ab ke baras yeh hai tera samna na ho,

Woh hai salamat to addabat ka maza hai ,
Dushman ko kabhi jaan se mara nahi karte ,

Guzre hai hum ishq ki aisi makaam se ,
Ke nafrat si hogai hai muhabbat ke naam se ,

Naseeb ki mehfil main bewafai ka darwaza khul gaya ,
Jo socha nahii tha kabhi who dosti ka taufa mil gaya

 

Wo Mila Hi Nahi
By : Gagan (Views : 836)

Chaha to bohat lekin woh mila hi nahin
Lakh koshish ki magar yeh fassla mita hi nahin
Is zamane ne majboor hi is Kadar kai tha
Ke meri kisi sada par woh thehra hi nahin
Khuda se jholi phela kar manga tha ussey
Khuda ne meri dua ko shayad suna hi nahin
Aur ik se sabab poocha tere na milne ka
Aur ik ne kaha woh tere liye bana hi nahin
Main apni tamam koshishon ke bawajood tujhe haar gaya
Aur tu usse mil gaya jis ne tujhe kabhi manga hi nahin
Itni shiddat se chaaha magar tu kisi aur ka ho gaya
Shayad is jahan me wafa ka koi sila hi nahin

 

Judai Ka Dard
By : Gagan (Views : 1043)

judai ka dard kya hota hai
tu kya jane
hanste hue bhi dil kese rota hai
tu kya jane
koi isk mein pagal kese hota hai
tu kya jane
koi mar mar ke kese jita hai
tu kya jane
tere isk mein ham kis kadar pagal ho gae
tu kya jane

kash jo pyar hum ne tere liye
dil mein daba rakha tha
tujhe bata pate

to ye judai ka dard kya hota hai
hanste hue koi kese rota hai
mar mar ke koi kese jeeta hai
tu bhi jaan jati
aur iss kadar hame har din mout na aati

 

Suraj Ki Mohabbat
By : Gagan (Views : 788)

Kabhi to ki hogi suraj ne chand se mohabbat, Tabhi to chand me daag hai, Mumkin hai ki chand ne ki hogi bewafai, Tabi to suraj Mein aag hai . . . . ...

Bewafa Nighayan
By : Gagan (Views : 801)

main ne bjis larki ko chaha tha janta nahi tha ke wo bewafa theen
us ki batoon main kho giya tha janta nahi tha wo batain jhoti theen
main bhi dil de betha main nadan tha janta nahi tha wo bewafa thi jin nighahoon ko main dekha karta tha raat mehjabeen janta nahi tha bewafa nighayan thi

 

Ek Bewafaa
By : Gagan (Views : 876)

Wafaa ka Naam na lo yaaro,
Wafaa toh Dil ko dukhaati hai.
Sach toh yeh hai ke Wafaa ka Naam lene se
phir Ek Bewafaa ki Yaad aa jaati hai..

 

Nazre
By : Gagan (Views : 676)

nazro ki tarif kya kare,
nazre to hai bewafa,
zukti hai kabhi to kabh ihai uthti,
karti nahi yeh kisi se bhi wafa...

 

Mohabat Ka Khel
By : Gagan (Views : 709)

Mohabbat ka khel humne bhi khela tha
kisi k dard ko humne bhi kharida tha,
bane the kabhi hum humdard jinke,
Unhone hi hamara dil toda tha....

 

Jaane Ke Baad
By : Gagan (Views : 693)

Aur bhi bahut si cheeze lut chu-ki hai dil ke saath
Ye bataya dosto ne ishq farmane ke baad
Is liye kamray ki ek ek cheez "ckeck" karta hoon main
"Ek tere aane se pehle, ek tere jaa-ne ke baad"

Bawafa Hi Paya
By : Gagan (Views : 866)

Hume Bhi Pyaar Karne Ka Khayal Aaya,
Jub Bhi Yeh Khayal Aya Khud Ko Akeala Paya,
Dhoonte Rahe Is Duniya Main Humsafar,
Kisi Ko Dhoke Baaz, Kisi Ko Bewafa Hi Paya

 

Ishq Ki Kahani
By : Gagan(Views : 767)

log ishq karte hain,
bade shor ke saath.
humne bhi kiya,
bade zor ke saath.
magar ab karenge,
thoda gaur ke saath.
kyonki kal usko dekha,
kisi aur ke saath.

 

Fasana Hai
By : Gagan (Views : 630)

Mohabbat kar ke dekhi to
mohabbat ko pehchana hai Wafa bus naam ki hai
be-wafaai ka fasana hai

 

Nibhaya Na Gaya
By : Gagan (Views : 728)

Mere dil vich si thikana usda
do kadam vi usto aaya na gaya
main puchhia kyon todia tu vada mera
ta has ke keha bas nibhaya na gaya

 

Mere Dost Se Pyaar!
By : Gagan (Views : 679)

Na woh inkaar karti hai Na woh ikraar karti hai KAMBAKHT mere hi sapno mein aakar Mere dost se pyaar karti hai.

Log Ishq.....
By : Gagan (Views : 742)

Log ishq karte hain,
Bade shor ke saath.
Humne bhi kiya,
Bade zor ke saath.
Magar ab karenge,
Thoda gaur ke saath.
Kyonki kal usko dekha,
Kisi aur ke saath.

 

Honth.....
By : Gagan (Views : 652)

humare honth lal hai to kya tumhare honth kaale hai?
bewafai ki top ho tum aur kehte hai dilwale hai.. .......

 

 

BEWAFA
By :Gagan(Views : 677)

JANTI THI KI WOH KARREGA BEWAFAI
PAR KUI JANKAR BHI MEI KAR BETTI USSE WAFFAI
JO KHABI KAHA THA KI JAAN BHI DE DENGE MERE LIYE
PAR AAJ USSNE MERRI HI JAAN
LELIYA KAR KE BEWAFAI USNE

 

Piyar Mei Bewafai
By :Gagan(Views : 584)

Humme Kaha Aata tha mohabat karna
tum ne hi sikkaya mohabat karna

jab mohabat mei hum itne doob gay
toh raha mei saath chor chale

wah wah agar mohabat isse hi khete hai
toh koi mohabat na kare

jeyse dil mera toota hai
khuda kare kissi aur ka na toote

 

Bewafayee
By :Gagan(Views : 608)

Jo main nai kee woh khata to naa thi
Jo tu nai kee woh wafa to naa thi

Bewafayee ko hee tu nai karna jayiz samjha
Wafa karna zamanay mein manaa to naa thi

Mairee mohabbat mein shayad koi kami reh gayee
Waise mairee mohabbat koi dagha to naa thi

Sab kartay hain mohabbat dil se ...........
Mairay karnay se pehlay yeh saza to naa thi

Mairay paas khushiyaan thein par kaash! tu jaan paata
Yeh khushi tere bina to naa thi

Tu bewafai karay ga mairay saath
Yeh baat mujhe pata to naa thi

Main nai tujhe toot kar pyaar kiya magar
Bewafai karnay ki koi wajah to naa thi

Shayad! mohabbat karna jurm samjha tu nai
Mohabbat karna waise gunaah to naa thi

Tu aayai aur chala jayai mairee duniya se
Aaisee mairay lab pai koi duyaa to naa thi

Bin awaaz kai cheekhoon gee main ab dilo dimaagh mein
Main tujh se nafrat karti hoon aaisee pehle koi sadaa to na thi

Sadaa phool hee barsaana chahay teri zindagi mein
Main teri zindagi mein ek kaanta to naa thi

Neend se baidaar honay kai baad bhi andhera lagta hai
Teri bewafai kai baad koi subha mairee subha to naa thi

Ghair bhi apno par reham farmaa daitay hain
Par tujhay mairee zara bhi parwaa to naa thi

Main sirf tum se pyaar karti thi sirf tum se
Teri tarah main har kisi par fidaa to naa thi

Tu yeh bata day kai aaisa kya keh diya main nai aakhri baar?
Waise mairee aakhri mulaqaat koi shikwa yaa gilla to naa thi

Sab kehtay thay, aaj main nai bhi maana kai
Teray dil mein pyaar, mohabbat ki jagah to naa thi

Aaj main nai jaan liya tanhai mein kai tab bhi
Mairay paas mairee duniya to naa thi

Aai kaash!! tu jaan paata kai aaj bhi aur kal bhi
Teri chahat mujh se judaa to naa thi


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter


Teya Salat